Monday, March 16, 2020

.jyotiji ne mujhe yah Ygan diya...ab jal, jangal, jameen, nadi, nala, pahad ke sath sundar bagiya bhi sath sath...


















 Johar
jindagi me sabhi anubhaw lena chahiye. pahle mai jal, jangal, jameen ko bachane ki Ladai to dindagi bhar Ladte rahi, jameen ke sath kheti, bari, ped-paodhe, jangal-jhad, jadi, buti, nadi-nala, paryawan ki bat karti thi. Lekin kabhi bhi Phul-Pata ke tarf dheyan nahi gaya. 2012 me Nagdi ka jameen bachane ke samay jam sarkar ne mujhe Jail bhej di...Teen Mah tak Jail me rahi...sarkar ki or se 7 case mere uper kiya gaya. Jail se nikalne ke bad mahine me 8-9 bar court jana padta tha. jis din court me gawahi hota tha, us din dinbhar ka samay court ko dena hota tha. 1 baje lunch ka chuti hota hai, is samay mai court parishar se bahar nakal kar samne ke narsari me samay bitane jati. ek narsari wala ek din mujhe full dekhte samay pucha, didi full aap ko pasand hai, koun sa full sundar lag raha hai?
mai bole full to sab sundar hai, Lekin paise per hi na sabhi sundar lagta hai. us Ladke ne dubara pucha. didi koun koun full jyada sundar aap ko lag raha hai? maine gulab full ki or ishara kar ke puchi, iska kitna dam hai? Ladka bola aap pahle pasand kigiye. mai boli nahi pahle dam batayega tab na, kisko kisko pasanad karenge. tab usne bole...boliye..kaoun kaoun full pasand hai,,maine Teen Gulab ko dikhaye...usne teeno gulab ko ek plastic bag me bhar kar meri or Badhate hue bole..didi aap ham logon ke liye Jail ja sakte hain..aur mai aap ko full ka do paoudha nahi de sakta hun...yah kahte ...thama diya..
mai ghar aa kar pahle teeno gulab ko miti khod kar lagaye..pani di..roj subah uth kar pahle ise paoudha ko dekhti...paoudha bada hone laga..teeno me bari bari se kali laga..full khila...
iske bad jab bhi court mai hajri ke liye jati, bhai Jyoti se pass jarur milne jati..wapas aate samay fir se so full ka paoudha deta...isa karte karte full ka paudha ab mere liye jindagi ka hisa ban gaya...jyotiji ne mujhe yah Ygan diya...ab jal, jangal, jameen, nadi, nala, pahad ke sath sundar bagiya bhi sath sath...


No comments:

Post a Comment