Sunday, February 12, 2012

jo pure tathakathit..sabheya..sikchit..samaj ko bhi samuhikta-ekta our pyaar ka sandesh deta hai...


prakritikmulak jiwan ko samjhana sabhi samaj ke liye aasan nahi hai...jus samaj ka samajik-arthik, sanskritk, itihasik astitva ..prakriti ke jiwan shaile ke sath jiwant rista hai...wahi..is tasbir ka mahatwa ko samajh sakta hai....ise bhaw ko samajh sakta hai...
ye tino bachiyana ek hi ghar ki nahi hain..tino alag alag pariwar ki hain...jis ber ke ped se ye ber tod rahi hain..yah ped in teeno me se kisi pariwar ka nahi hai...kisi dusre priwar ka hai...
Feb..mah me gaon ka ber pakna suru ho jata hai..ber ka ped kisi ka bhi ho..pak kar taiyar ho gaya hai..to use koi bhi tod kar kha sakta hai..koi pratiband nahi hai...
in teeno bachiyon ko dekh kar ham gaon ke samuhik jindagi...pyaar..sahyog ka sahaj anuman laga sakte hain..in teeno me jo badi hai..jo ped chad sakti hai..wo ber hilane -girane ke liye ped par chadhi hai..our dal ko hila rahi hai...taki paka ber gire..
neeche do hain..isme se ek apne frak me ber chun kar jama kar rahi hai..ek ..sukha bans ka patla danta -dang lekar neche neche dali ka ber gira rahi hai...bad me ye teeno ek jagah baith kar ek bara bar bantenge...
yahi hai..Adivasi Mulvasi-kisan samaj..ki khubiyan..bishestayen...yah jiwan sirf..prakriti ke sath jine wale samj me hi sambhaw hai...jo pure tathakathit..sabheya..sikchit..samaj ko bhi samuhikta-ekta our pyaar ka sandesh deta hai...

No comments:

Post a Comment