Sunday, October 16, 2011

Is itihasik...asthal..ke itihas ho ..age badhane ka Dr. Ramdayal Munda ne kiya..our..is itihasik..asthal me..sarkar se ..sahid Askarak..banwaye.



adivasiyon ke itihas me 9 june 1900 ka bisesh mahatwa hai...9 june ko munda adivasiyon ne ..Birsa Munda ke aguwai me angrejon ke khilaf dombari Buru me ..aar paar ki ladai lade the..sail rakab our dombari buru ek hi jagah hai..dono pahad ek dusre se sata huwa hai..yanha sail-sukam bahut adkhik the..is liye is pahad ko sail rakab kahte hain...
9 june 1900 ko angrej sainik Birsa Munda ko khojne Dombari Buru..pahunche...dombari Buru me Birsa Munda ke sath sangharsh karne wale..meeting kar rahe the...angrej sainikon ne..pahad ko gher liya tha..pahd ke niche se sainik banduk se goli chala rahe the...our andolankari adivasi..teer chala rahe the...
Is ladai me 1000 se adhik adivasi..mare gaye..isme mahila..bacha..purush sabhi samil the..Is ghatna ke bare..angrej saik ke kaptan stret field likhte hain...In sahidon me kai mahilayen bhi thi..purush our mahilayen dur se ek hi dikhte the..dono lamba lamba bal rakhe the...lash ke bich me ek bacha dikha, jo ek mrit mahila ka astan chush raha tha...Yas bahut hi dardnak ..drisya tha.
Is goli bari me adivasi..angrejon ke bandukon ka jawab teer-dhanush se de rahe the...angrejon ke goliyon ka samna adivasi..sina..chhti me goli kha kar rahe the..lekin angrejon ke samne ghutna nahi jhukaye...
Ise din..Birsa Munda ka dahina hath Gaya Munda ki patni Maki Munda..wanha pahunche..street fild jab unse pucha ki..koun ho..iske jawab me Maki..boli..tum kaoun hote ho jo..mere hi ghar me..ki mai koun hun...Maki Munda ek hath se bachha godi karke sambhali hui thi..ek hath se tanki..thame...angrej..kaptan..ka samna kar rahi thi...
Is itihasik...asthal..ke itihas ho ..age badhane ka Dr. Ramdayal Munda ne kiya..our..is itihasik..asthal me..sarkar se ..sahid Askarak..banwaye...pahad par chadhne ke liye rasta nahi tha..Dr. Munda ji ne rasta bhi banwaye.
Aaj..is shahid asthal par har..9 Janwari..our 9 june ko..log ..apna itihas ko yad karne ke liye aate hain...

No comments:

Post a Comment